khafa khafa si ho zayegi zindagi humse
hamne kabhi socha naa tha,
Zindagi ruthegi humse is kadar
hamne kabhi socha na tha,
Gam honge Zindagi me itne
hamne kabhi socha na tha,
Raat aur din aayegi unki yaad
hamne kabhi socha naa tha.
hui hamse aisi kuch khata
ki ruth gayi we yaa naaraz hein,
ye pata bhi naa chala
Socha tha denge unko khusia
par shayad naaraz kar diya.
Dukh is baat ka nahi ki
we hamare saath nahi
Dukh is baat ka hey ki,
hamse hui shayad koi khata
jisne unko pareshan kiya.
Kah naa paya unse me
Apne dil ki awaaz ,
par aisa kyun he ki
unse kabhi aankhe chura naa saka.
mahfilo me hasta raha par logo se
apne gam ko chupa naa saka.
aisi ho jayegi hamari haalat,
ye kabhi socha na tha.
--- vinay prabhakar
Tuesday, September 11, 2007
Subscribe to:
Posts (Atom)